Urdu Poetry sms; 5356 messages
yeh to hai apnaa apnaa hausla apnii apnii u’Daan hai
koi u’D ke rah gayaa baam tak,koi kahkashaa’n se guzar gaya
114 chars (1 sms)
apane chehre se jo zaahir hai chhupaaye’n kaise
terii marzii ki mutaabik nazar aaye’n kaise
93 chars (1 sms)
agar pata hota kh tum aao ge yadon main.
tu hum sanwrte or sajte zaror...
77 chars (1 sms)
ae zindagi tujh se acha tu mera zakhum hai.
jub dard hota hai to ehsas dilta hai zinda hone ka..
100 chars (1 sms)
Kabhi aa ker mujhse mil, mera haal mujhse poch...
Ghairon ke kehne pe youn badguman na ho...
96 chars (1 sms)
, nahin door mujh se qareeb hai
Mujhe uska gham to naseeb hai, wo agar nahin tu naheeN sahi
95 chars (1 sms)
nazar wo hai ke jo kauno makan ke paar ho jaaye
magar jab ruh-e-taabaN par pade bekaar ho jaaye
99 chars (1 sms)
tum taslee na do bus yon he pas bathe raho..
waqat kuch mray mrnay ka tul jay ga..
86 chars (1 sms)
chupke se bheja tha aik gulab use magar..
kushbu ne shehar bahr me tamasha bana dala...
91 chars (1 sms)
hum bhi zinda hain saqi kisi chahne wale ki waja se..
warna do gazz zamin to kahen bhi mil jati hai...
106 chars (1 sms)
bhut thak chuka hun muhabt main khud ko sulana chahta hon..
lykn raat main yh shama ki roshni sone nahi deti...
115 chars (1 sms)
jis ne sikhya humen muskurana zindgi main..
bardi harat hoti hai jate lamhe rula kr kaon gaya.
98 chars (1 sms)
Sheher-E-Khayal-O-Khuwab Mein Abad Ho Gaya,
Itna Usay Parha Ke Mujhay Yaad Ho Gaya,,
Main Aaj Tak Hoon Jis Ke Fareeb-O-Hisar Main,
Wo Aur Hi Kisi Ka Mere Bad Ho Gaya,,
Aandhi Hawa Ka Saath Nibhanay Ke Shok Mein,
Koi Tabah Hua'' Koi Barbad Ho Gaya,,
Apni To Sari Umr Aseeri Mein Kat Gayi,
Jis Ne Bhi Haar Maan Li'' Azaad Ho Gaya,,
Pehlay To Paaniyon Se Rahi Guftagu Meri,
Phir Youn Hua Ke Aaina Eejaad Ho Gaya . . . /
444 chars (3 sms)
Kabhi milnay milanay ka koi tehwar to aaey
Mujhe bs tooot k teri kami mehsos hoti hai..!
92 chars (1 sms)
Ab is se bhar k bhalan kia ho ehtiyaat-e-wafa,
Mai tere shehr se guzron, tujhe khaber na karon!
Wo aik pal ko dikhayai to de kahin Mohsin,
Mai jaan ganva ke bhi us pal ko mukhtasir na karoN!
195 chars (2 sms)